Dukh Fasana nahin ke Tujh se Kahen
Dil bhi mana nahin ki Tujh se Kahen
Aaj tak apni bekali ka sabab
Khud bhi jaana nahin ki Tujh se Kahen
Be-Tarah Haal-e-Dil hai aur Tujh se
Dostana nahin ki Tujh se Kahen
Ek tu harf-e-ashna tha magar
Ab zamana nahin ki Tujh se Kahen
Qasida hum faqir logon ka
Ek Thikana nahin ki Tujh se Kahen
Ai KHuda dard-e-dil hai baKHshish-e-dost
Aab-o-Dana nahin ki Tujh se Kahen
Ab to Apna bhi us gali mein ‘Faraz’
Aana Jaana nahin ki Tujh se Kahen