Read in Roman
Main Dil pe Jabr Karunga Tujhe Bhula Dunga
Marunga Khud bhi Tujhe bhi KaDi Saza Dunga
Ye Teergi Mere Ghar ka hi Kyun Muqaddar ho
Main Tere Shahar ke Sare Diye Bujha Dunga
Hawa ka Hath Bataunga har Tabahi mein
Hare Shajar se Parinde main Khud uda Dunga
Wafa Karunga kisi Sogwar Chehre se
Purani Qabr pe Katba Naya Saja Dunga
Isi Khayal mein Guzri hai Sham-e-Dard Akasr
ke Dard had se baDhega to Muskura Dunga
Tu Aasman ki Surat hai gar Padega Kabhi
Zamin hun main bhi Magar Tujh ko Aasra Dunga
Badha rahi hain Mere Dukh Nishaniyan Teri
Main tere KHat teri taswir tak jala Dunga
Bahut Dinon se Mera Dil Udas hai ‘Mohsin’
Is Aaine ko koi Aks ab Naya Dunga