Aisa Hai Ki Sab Khwab Musalsal Nahin Hote
- Aisa Hai Ki Sab Khwab Musalsal Nahin Hote
- Jo Aaj To Hote Hain Magar Kal Nahin Hote
- Andar Ki Fazaon Ke Karishme Bhi Ajab Hain
- Meinh Tut Ke Barse Bhi To Baadal Nahin Hote
- Kuchh Mushkilen Aisi Hain Ki Aasan Nahin Hotin
- Kuchh Aise Muamme Hain Kabhi Hal Nahin Hote
- Shaistagi-E-Gham Ke Sabab Aankhon Ke Sahra
- Namnak To Ho Jate Hain Jal-Thal Nahin Hote
- Kaise Hi Talatum Hon Magar Qulzum-E-Jaan Mein
- Kuchh Yaad-Jazire Hain Ki Ojhal Nahin Hote
- Ushshaq Ke Manind Kai Ahl-E-Hawas Bhi
- Pagal To Nazar Aate Hain Pagal Nahin Hote
- Sab Khwahishen Puri Hon ‘Faraaz’ Aisa Nahin Hai
- Jaise Kai Ashaar Mukammal Nahin Hote