Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jayega
Read in Roman
Aankh Se Dur Na Ho Dil Se Utar Jayega
Waqt ka kya hai Guzarta hai Guzar Jayega
Itna Manoos na ho Khalwat-e-gham se Apni
Tu kabhi Khud ko bhi Dekheyga to Dar Jaega
Doobte Doobte Kashti ko Uchhala de Dun
Main Nahin Koi to Sahil pe Utar Jaega
Zindagi Teri Ata hai to ye Jaane Wala
Teri Bakhshish Teri Dahliz pe Dhar Jayega
Zabt Lazim hai Magar Dukh hai Qayamat ka ‘Faraz’
Zalim ab ke bhi na Roega to mar Jaega