Chiragh Sab Ke Bujhenge Hawa Kisi Ki Nahin
Ye Shahr Sehr-Zada Hai Sada Kisi Ki Nahin
Yahan Khud Apne Liye Bhi Dua Kisi Ki Nahin
Khizan Mein Chaak-Gareban Tha Main Bahaar Mein Tu
Magar Ye Fasl-E-Sitam-Ashna Kisi Ki Nahin
Sab Apne Apne Fasane Sunate Jate Hain
Nigah-E-Yar Magar Ham-Nawa Kisi Ki Nahin
Main Aaj Zad Pe Agar Hun To Khush-Guman Na Ho
Chiragh Sab Ke Bujhenge Hawa Kisi Ki Nahin
‘Faraaz’ Apni Jigar-Kawiyon Pe Naz Na Kar
Ki Ye Mata-E-Hunar Bhi Sada Kisi Ki Nahin