har koi dil ki hatheli pe hai sahra rakkhe
Har Koi Dil Ki Hatheli Pe Hai Sahra Rakkhe
Kis Ko Sairab Kare Wo Kise Pyasa Rakkhe
Umr Bhar Kaun Nibhata Hai Talluq Itna
Ai Meri Jaan Ke Dushman Tujhe Allah Rakkhe
Hum Ko Achchha Nahin Lagta Koi Hamnam Tera
Koi Tujh Sa Ho To Phir Nam Bhi Tujh Sa Rakkhe
Dil Bhi Pagal Hai Ki Us Shakhs Se Wabasta Hai
Jo Kisi Aur Ka Hone De Na Apna Rakkhe
Kam Nahin Tama-E-Ibaadat Bhi To Hirs-E-Zar Se
Faqr To Wo Hai Ki Jo Din Na Duniya Rakkhe
Hans Na Itna Bhi Faqiron Ke Akele-Pan Par
Ja Khuda Meri Tarah Tujh Ko Bhi Tanha Rakkhe
Ye Qanaat Hai Itaat Hai Ki Chahat Hai ‘Faraaz’
Hum To Raazi Hain Wo Jis Haal Mein Jaisa Rakkhe