Jawab e Shikwa
Allama Iqbal ki Nazam Shikwa bhi Parhain
Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai
Par Nahin Taqat-E-Parwaz Magar Rakhti Hai
Qudsi-Ul-Asl Hai Rifat Pe Nazar Rakhti Hai
Khak Se Uthti Hai Gardun Pe Guzar Rakhti Hai
Ishq Tha Fitnagar O Sarkash O Chaalak Mera
Aasman Chir Gaya Nala-E-Bebak Mera
Jawab e Shikwa
Pir-E-Gardun Ne Kaha Sun Ke Kahin Hai Koi
Bole Sayyare Sar-E-Arsh-E-Barin Hai Koi
Chand Kahta Tha Nahin Ahl-E-Zamin Hai Koi
Kahkashan Kahti Thi Poshida Yahin Hai Koi
Kuchh Jo Samjha Mere Shikwe Ko To Rizwan Samjha
Mujh Ko Jannat Se Nikala Hua Insan Samjha
Jawab e Shikwa
Thi Farishton Ko Bhi Hairat Ki Ye Aawaz Hai Kya
Arsh Walon Pe Bhi Khulta Nahin Ye Raaz Hai Kya
Ta-Sar-E-Arsh Bhi Insan Ki Tag-O-Taz Hai Kya
Aa Gai Khak Ki Chutki Ko Bhi Parwaz Hai Kya
Ghafil Aadab Se Sukkan-E-Zamin Kaise Hain
Shokh O Gustakh Ye Pasti Ke Makin Kaise Hain
Jawab e Shikwa
Is Qadar Shokh Ki Allah Se Bhi Barham Hai
Tha Jo Masjud-E-Malaik Ye Wahi Aadam Hai
Aalim-E-Kaif Hai Dana-E-Rumuz-E-Kam Hai
Han Magar Ijz Ke Asrar Se Na-Mahram Hai
Naz Hai Taqat-E-Guftar Pe Insanon Ko
Baat Karne Ka Saliqa Nahin Na-Danon Ko
Jawab e Shikwa
Aai Aawaz Gham-Angez Hai Afsana Tera
Ashk-E-Betab Se Labrez Hai Paimana Tera
Aasman-Gir Hua Nara-E-Mastana Tera
Kis Qadar Shokh-Zaban Hai Dil-E-Diwana Tera
Shukr Shikwe Ko Kiya Husn-E-Ada Se Tu Ne
Ham-Sukhan Kar Diya Bandon Ko Khuda Se Tu Ne
Jawab e Shikwa
Hum To Mail-Ba-Karam Hain Koi Sail Hi Nahin
Rah Dikhlaen Kise Rah-Raw-E-Manzil Hi Nahin
Tarbiyat Aam To Hai Jauhar-E-Qabil Hi Nahin
Jis Se Tamir Ho Aadam Ki Ye Wo Gil Hi Nahin
Koi Qabil Ho To Hum Shan-E-Kai Dete Hain
Dhundne Walon Ko Duniya Bhi Nai Dete Hain
Jawab e Shikwa
Hath Be-Zor Hain Ilhad Se Dil Khugar Hain
Ummati Bais-E-Ruswai-E-Paighambar Hain
But-Shikan Uth Gae Baqi Jo Rahe But-Gar Hain
Tha Brahim Pidar Aur Pisar Aazar Hain
Baada-Asham Nae Baada Naya Khum Bhi Nae
Haram-E-Kaba Naya But Bhi Nae Tum Bhi Nae
Jawab e Shikwa
Wo Bhi Din The Ki Yahi Maya-E-Ranai Tha
Nazish-E-Mausam-E-Gul Lala-E-Sahrai Tha
Jo Musalman Tha Allah Ka Saudai Tha
Kabhi Mahbub Tumhaara Yahi Harjai Tha
Kisi Yakjai Se Ab Ahd-E-Ghulami Kar Lo
Millat-E-Ahmad-E-Mursil Ko Maqami Kar Lo
Jawab e Shikwa
Kis Qadar Tum Pe Giran Subh Ki Bedari Hai
Hum Se Kab Pyar Hai Han Nind Tumhein Pyari Hai
Tab-E-Azad Pe Qaid-E-Ramazan Bhaari Hai
Tumhin Kah Do Yahi Aain-E-Wafadari Hai
Qaum Mazhab Se Hai Mazhab Jo Nahin Tum Bhi Nahin
Jazb-E-Baham Jo Nahin Mahfil-E-Anjum Bhi Nahin
Jawab e Shikwa
Jin Ko Aata Nahin Duniya Mein Koi Fan Tum Ho
Nahin Jis Qaum Ko Parwa-E-Nasheman Tum Ho
Bijliyan Jis Mein Hon Aasuda Wo Khirman Tum Ho
Bech Khate Hain Jo Aslaf Ke Madfan Tum Ho
Ho Niko Nam Jo Qabron Ki Tijarat Kar Ke
Kya Na Bechoge Jo Mil Jaen Sanam Patthar Ke
Jawab e Shikwa
Safha-E-Dahr Se Baatil Ko Mitaya Kis Ne
Nau-E-Insan Ko Ghulami Se Chhudaya Kis Ne
Mere Kabe Ko Jabinon Se Basaya Kis Ne
Mere Quran Ko Sinon Se Lagaya Kis Ne
The To Aaba Wo Tumhaare Hi Magar Tum Kya Ho
Hath Par Hath Dhare Muntazir-E-Farda Ho
Jawab e Shikwa
Kya Kaha Bahr-E-Musalman Hai Faqat Wada-E-Hur
Shikwa Beja Bhi Kare Koi To Lazim Hai Shuur
Adl Hai Fatir-E-Hasti Ka Azal Se Dastur
Muslim Aain Hua Kafir To Mile Hur O Qusur
Tum Mein Huron Ka Koi Chahne Wala Hi Nahin
Jalwa-E-Tur To Maujud Hai Musa Hi Nahin
Manfat Ek Hai Is Qaum Ka Nuqsan Bhi Ek
Ek Hi Sab Ka Nabi Din Bhi Iman Bhi Ek
Haram-E-Pak Bhi Allah Bhi Quran Bhi Ek
Kuchh Badi Baat Thi Hote Jo Musalman Bhi Ek
Firqa-Bandi Hai Kahin Aur Kahin Zaten Hain
Kya Zamane Mein Panapne Ki Yahi Baaten Hain
Jawab e Shikwa
Kaun Hai Tarik-E-Ain-E-Rasul-E-Mukhtar
Maslahat Waqt Ki Hai Kis Ke Amal Ka Mear
Kis Ki Aankhon Mein Samaya Hai Shiar-E-Aghyar
Ho Gai Kis Ki Nigah Tarz-E-Salaf Se Be-Zar
Qalb Mein Soz Nahin Ruh Mein Ehsas Nahin
Kuchh Bhi Paigham-E-Mohammad Ka Tumhein Pas Nahin
Jawab e Shikwa
Ja Ke Hote Hain Masajid Mein Saf-Ara To Gharib
Zahmat-E-Roza Jo Karte Hain Gawara To Gharib
Nam Leta Hai Agar Koi Hamara To Gharib
Parda Rakhta Hai Agar Koi Tumhaara To Gharib
Umara Nashsha-E-Daulat Mein Hain Ghafil Hum Se
Zinda Hai Millat-E-Baiza Ghoraba Ke Dam Se
Jawab e Shikwa
Waiz-E-Qaum Ki Wo Pukhta-Khayali Na Rahi
Barq-E-Tabi Na Rahi Shola-Maqali Na Rahi
Rah Gai Rasm-E-Azan Ruh-E-Bilali Na Rahi
Falsafa Rah Gaya Talqin-E-Ghazali Na Rahi
Masjiden Marsiyan-Khwan Hain Ki Namazi Na Rahe
Yani Wo Sahib-E-Ausaf-E-Hijazi Na Rahe
Jawab e Shikwa
Shor Hai Ho Gae Duniya Se Musalman Nabud
Hum Ye Kahte Hain Ki The Bhi Kahin Muslim Maujud
Waza Mein Tum Ho Nasara To Tamaddun Mein Hunud
Ye Musalman Hain Jinhen Dekh Ke Sharmaen Yahud
Yun To Sayyad Bhi Ho Mirza Bhi Ho Afghan Bhi Ho
Tum Sabhi Kuchh Ho Batao To Musalman Bhi Ho
Jawab e Shikwa
Dam-E-Taqrir Thi Muslim Ki Sadaqat Bebak
Adl Us Ka Tha Qawi Laus-E-Maraat Se Pak
Shajar-E-Fitrat-E-Muslim Tha Haya Se Namnak
Tha Shujaat Mein Wo Ek Hasti-E-Fauq-Ul-Idrak
Khud-Gudazi Nam-E-Kaifiyat-E-Sahba-Yash Bud
Khali-Az-Khesh Shudan Surat-E-Mina-Yash Bud
Jawab e Shikwa~allama iqbal poetry
Har Musalman Rag-E-Baatil Ke Liye Nashtar Tha
Us Ke Aaina-E-Hasti Mein Amal Jauhar Tha
Jo Bharosa Tha Use Quwwat-E-Bazu Par Tha
Hai Tumhein Maut Ka Dar Us Ko Khuda Ka Dar Tha
Bap Ka Ilm Na Bete Ko Agar Azbar Ho
Phir Pisar Qabil-E-Miras-E-Pidar Kyunkar Ho
Jawab e Shikwa
Har Koi Mast-E-Mai-E-Zauq-E-Tan-Asani Hai
Tum Musalman Ho Ye Andaz-E-Musalmani Hai
Haidari Faqr Hai Ne Daulat-E-Usmani Hai
Tum Ko Aslaf Se Kya Nisbat-E-Ruhani Hai
Wo Zamane Mein Muazziz The Musalman Ho Kar
Aur Tum Khwar Hue Tarik-E-Quran Ho Kar
Jawab e Shikwa
Tum Ho Aapas Mein Ghazabnak Wo Aapas Mein Rahim
Tum Khata-Kar O Khata-Bin Wo Khata-Posh O Karim
Chahte Sab Hain Ki Hon Auj-E-Surayya Pe Muqim
Pahle Waisa Koi Paida To Kare Qalb-E-Salim
Takht-E-Faghfur Bhi Un Ka Tha Sarir-E-Kae Bhi
Yun Hi Baaten Hain Ki Tum Mein Wo Hamiyat Hai Bhi
Jawab e Shikwa
Khud-Kushi Shewa Tumhaara Wo Ghayur O Khuddar
Tum Ukhuwwat Se Gurezan Wo Ukhuwwat Pe Nisar
Tum Ho Guftar Sarapa Wo Sarapa Kirdar
Tum Taraste Ho Kali Ko Wo Gulistan Ba-Kanar
Ab Talak Yaad Hai Qaumon Ko Hikayat Un Ki
Naqsh Hai Safha-E-Hasti Pe Sadaqat Un Ki
Jawab e Shikwa
Misl-E-Anjum Ufuq-E-Qaum Pe Raushan Bhi Hue
But-E-Hindi Ki Mohabbat Mein Birhman Bhi Hue
Shauq-E-Parwaz Mein Mahjur-E-Nasheman Bhi Hue
Be-Amal The Hi Jawan Din Se Bad-Zan Bhi Hue
In Ko Tahzib Ne Har Band Se Aazad Kiya
La Ke Kabe Se Sanam-Khane Mein Aabaad Kiya
Jawab e Shikwa
Qais Zahmat-Kash-E-Tanhai-E-Sahra Na Rahe
Shahr Ki Khae Hawa Baadiya-Paima Na Rahe
Wo To Diwana Hai Basti Mein Rahe Ya Na Rahe
Ye Zaruri Hai Hijab-E-Rukh-E-Laila Na Rahe
Gila-E-Zaur Na Ho Shikwa-E-Bedad Na Ho
Ishq Aazad Hai Kyun Husn Bhi Aazad Na Ho
Jawab e Shikwa
Ahd-E-Nau Barq Hai Aatish-Zan-E-Har-Khirman Hai
Aiman Is Se Koi Sahra Na Koi Gulshan Hai
Is Nai Aag Ka Aqwam-E-Kuhan Indhan Hai
Millat-E-Khatm-E-Rusul Shola-Ba-Pairahan Hai
Aaj Bhi Ho Jo Brahim Ka Iman Paida
Aag Kar Sakti Hai Andaz-E-Gulistan Paida
Jawab e Shikwa
Dekh Kar Rang-E-Chaman Ho Na Pareshan Mali
Kaukab-E-Ghuncha Se Shakhen Hain Chamakne Wali
Khas O Khashak Se Hota Hai Gulistan Khali
Ghul-Bar-Andaz Hai Khun-E-Shohda Ki Lali
Rang Gardun Ka Zara Dekh To Unnabi Hai
Ye Nikalte Hue Suraj Ki Ufuq-Tabi Hai
Jawab e Shikwa
Ummaten Gulshan-E-Hasti Mein Samar-Chida Bhi Hain
Aur Mahrum-E-Samar Bhi Hain Khizan-Dida Bhi Hain
Saikdon Nakhl Hain Kahida Bhi Baalida Bhi Hain
Saikdon Batn-E-Chaman Mein Abhi Poshida Bhi Hain
Nakhl-E-Islam Namuna Hai Birau-Mandi Ka
Phal Hai Ye Saikdon Sadiyon Ki Chaman-Bandi Ka
Jawab e Shikwa
Pak Hai Gard-E-Watan Se Sar-E-Daman Tera
Tu Wo Yusuf Hai Ki Har Misr Hai Kanan Tera
Qafila Ho Na Sakega Kabhi Viran Tera
Ghair Yak-Bang-E-Dara Kuchh Nahin Saman Tera
Nakhl-E-Shama Asti O Dar Shola Do-Resha-E-Tu
Aaqibat-Soz Bawad Saya-E-Andesha-E-Tu
Jawab e Shikwa
Tu Na Mit Jaega Iran Ke Mit Jaane Se
Nashsha-E-Mai Ko Talluq Nahin Paimane Se
Hai Ayan Yurish-E-Tatar Ke Afsane Se
Pasban Mil Gae Kabe Ko Sanam-Khane Se
Kashti-E-Haq Ka Zamane Mein Sahaara Tu Hai
Asr-E-Nau-Raat Hai Dhundla Sa Sitara Tu Hai
Jawab e Shikwa
Hai Jo Hangama Bapa Yurish-E-Bulghaari Ka
Ghafilon Ke Liye Paigham Hai Bedari Ka
Tu Samajhta Hai Ye Saman Hai Dil-Azari Ka
Imtihan Hai Tere Isar Ka Khuddari Ka
Kyun Hirasan Hai Sahil-E-Faras-E-Ada Se
Nur-E-Haq Bujh Na Sakega Nafas-E-Ada Se
Jawab e Shikwa
Chashm-E-Aqwam Se Makhfi Hai Haqiqat Teri
Hai Abhi Mahfil-E-Hasti Ko Zarurat Teri
Zinda Rakhti Hai Zamane Ko Hararat Teri
Kaukab-E-Qismat-E-Imkan Hai Khilafat Teri
Waqt-E-Fursat Hai Kahan Kaam Abhi Baqi Hai
Nur-E-Tauhid Ka Itmam Abhi Baqi Hai
Jawab e Shikwa
Misl-E-Bu Qaid Hai Ghunche Mein Pareshan Ho Ja
Rakht-Bar-Dosh Hawa-E-Chamanistan Ho Ja
Hai Tunak-Maya Tu Zarre Se Bayaban Ho Ja
Naghma-E-Mauj Hai Hangama-E-Tufan Ho Ja
Quwwat-E-Ishq Se Har Past Ko Baala Kar De
Dahr Mein Ism-E-Mohammad Se Ujala Kar De
Jawab e Shikwa
Ho Na Ye Phul To Bulbul Ka Tarannum Bhi Na Ho
Chaman-E-Dahr Mein Kaliyon Ka Tabassum Bhi Na Ho
Ye Na Saqi Ho To Phir Mai Bhi Na Ho Khum Bhi Na Ho
Bazm-E-Tauhid Bhi Duniya Mein Na Ho Tum Bhi Na Ho
Khema-E-Aflak Ka Istada Isi Nam Se Hai
Nabz-E-Hasti Tapish-Amada Isi Nam Se Hai
Jawab e Shikwa
Dasht Mein Daman-E-Kohsar Mein Maidan Mein Hai
Bahr Mein Mauj Ki Aaghosh Mein Tufan Mein Hai
Chin Ke Shahr Maraqash Ke Bayaban Mein Hai
Aur Poshida Musalman Ke Iman Mein Hai
Chashm-E-Aqwam Ye Nazzara Abad Tak Dekhe
Rifat-E-Shan-E-Rafana-Laka-Zikrak Dekhe
Jawab e Shikwa
Mardum-E-Chashm-E-Zamin Yani Wo Kali Duniya
Wo Tumhaare Shohda Palne Wali Duniya
Garmi-E-Mehr Ki Parwarda Hilali Duniya
Ishq Wale Jise Kahte Hain Bilali Duniya
Tapish-Andoz Hai Is Nam Se Pare Ki Tarah
Ghota-Zan Nur Mein Hai Aankh Ke Tare Ki Tarah
Jawab e Shikwa
Aql Hai Teri Sipar Ishq Hai Shamshir Teri
Mere Darwesh Khilafat Hai Jahangir Teri
Ma-Siwa-Allah Ke Liye Aag Hai Takbir Teri
Tu Musalman Ho To Taqdir Hai Tadbir Teri
Ki Mohammad Se Wafa Tu Ne To Hum Tere Hain
Ye Jahan Chiz Hai Kya Lauh-O-Qalam Tere Hain