Khwab Girvi Rakh Diye
Khwab Girvi Rakh Diye Aankhon Ka Soda Kar Diya
Qarz-E-Dil Kya Qarz-E-Jaan Bhi Aaj Chukta Kar Diya.
Ghair Ko Ilzam Kyun Den Dost Se Shikwa Nahin
Apne Hi Hathon Kiya Jo Kuchh Bhi Jaisa Kar Diya.
Kuchh Khabar Bhi Ho Na Pai Is Dayar-E-Ishq Mein
Kaun Yusuf Ho Gaya Kis Ko Zulekha Kar Diya.
Khwab Girvi Rakh Diye
Dil Ke Darwaze Pe Yaaden Shor Jab Banne Lagin
Dhadkanon Ka Nam De Kar Bojh Halka Kar Diya.
Khwab Girvi Rakh Diye
Kitne Achchhe Log The Kya Raunaqen Thin Un Ke Sath
Jin Ki Rukhsat Ne Hamara Shahr Suna Kar Diya.
Khwab Girvi Rakh Diye
Apne Pyaron Ko Bachaya Dard Ki Har Mauj Se
Aankh Mein Sailab Roka Dil Ko Dariya Kar Diya.
Phul, Paude, Ped, Bachche Ghar Ka Aangan Aur Tum
Khwahishon Ke Nam Par In Sab Ko Yakja Kar Diya.
Khwab Girvi Rakh Diye
Gham Nahin La-Hasili Ka Ishq Ka Hasil Hai Ye
Ai Hisab-E-Zindagi Tujh Ko To Pura Kar Diya.
Khwab Girvi Rakh Diye
Hijr Se Hijrat Talak Har Dukh Se Samjhauta Kiya
Bhid Mein Rah Ke Bhi Main Ne Khud Ko Tanha Kar Diya.
Ye Zamin ‘Hasrat’ Ki Hai Is Par Qadam Rakkha To Phir
Itni Jurat Ho Gai Arz-E-Tamanna Kar Diya.