Mahshar Afridi ki Dil ko Chhooo Lene Wali Shairy
Apne Har Jumle Ki Taqat Jante Hain
Chaliye Kuchh To Ma Badolat Jante Hain
Aapane Itna Nichoda Hai Ki Ab
Sirf Jeene Ko Ganimat Jante Hain
Aapko Kuchh Bhi Samajhti Ho Yah Duniya
Aap To Apni Haqiqat Jante Hain
Aap To Wakif Hain NAS NAS Se Hamari
Aap To Humko Nihaayat Jante Hain
Mahshar Afridi
Mian Wo Din Gaye Ab Yah Himakat Kaun Karta Hai
Wo Kya Kahate Hain Usko Han Mohabbat Kaun Karta Hai
Koi Gam Se Pareshan Hai Koi Jannat Ka Talib Hai
Talab Sajde Karati Hai Ibadat Kaun Karta Hai
Mahshar Afridi
Itna Majbur Na Kar Baat Banane Lag Jaayen
Ham Tere Sar Ki Kasam Jhoothi Khane Lag Jaayen
Itne Sannate Piye Meri Samaat Ne Ke Ab
Sirf Awaz Pe Chahoon To Nishane Lag Jaayen
Main Agar Apni Jawani Ke Suna Dun Qisse
Ye Jo Londay Hain Mer Paon Dabane Lag Jaen
Mahshar Afridi
Itni Kam Umri Mein Larna Sikh Gaye
Khoon Kharaba Zehr Ugalna Seekh Gaye
Kab Chidiya Ke Bacche Udana Sikhenge
Sanp Ke Bacche Paird Pe Chadhna Seekh Gaye
Apne Mayaar Se Niche To Main Aane Se Raha
Sher Bhookh Ho Magar Ghas To Khane Se Raha
Karsako To Meri Chahat Ka Yakin Kar Lena
Ab Tumhen Chir Ke Main Dil To Dikhane Se Raha
Mahshar Afridi
Jagah Ki Qaid Nahin Thi Koi Kahin Baithe
Jahan Maqam Hamara Tha Ham Wahin Baithe
Amir-E-Shahar Ke Aane Per Uthana Parta Hai
Lihaza Agali Safoon Mein Kabhi Nahin Baithe
Mahshar Afridi
Uqabi Zoam Khush Fehmi Mein Aksar Toot Jata Hai
Hawayen Ghair Leti Hain To Shahper Toot Jata Hai
Kahin Nazrein Jamaon To Jalan Hoti Hai Aankhon Mein
Zara Palke Jhapakta Hun To Manzar Toot Jata Hai
Musibat Mein Buzurgon Ke Dilase Kam Aate Hain
Agar Senapati Toote To Lashkar Toot Jata Hai
Mera Dushman Pareshan Hai Meri Maan Ki Duaon Se
Wo Jab Bhi War Karta Hai To Khanjar Toot Jata Hai