Saghar Siddiqui
#urdupoetry #saghar #sagharsiddiqui #urdu #hasilekalam
Saghar Siddiqui ke Mashoor Qita’at
Muskurahat
Hum Faqeeron ki Sooraton pe na ja
Hum Kai roop Dhaar Lete Hain
Zindagi Ke Udaas Lamhon Ko
Muskura ker Guzar Lete Hain
Zindagi
Koi Taza Alam na Dikhlaaye
Anay Wale Khushi Se Darte Hain
Log Ab Maut Se Nahi Darte
Log Ab Zindagi Se Darte Hain
Nibaah
Jane Wale Hamari Mehfil Se
Chand Taron Ko Sath Leta Ja
Hum Khizan se Nibaah kar lenge
Tu Baharon Ko Saath Leta Ja
Be Rukhi
Dukh Bhari Dastaan Mazi ki
Hal ki Be Rukhi Ka Qissa Hun
Aye Haqeeqat ke Dhoondne Wale
Mein Teri Justuju ka Hissa Hun
Deewana
Qaflay Manzil e Mehtab ki Janib Hain Rawan
Meri Rahon Mein Teri Zulf ke Bul Atay Hain
Mein Wo Awara e Taqdeer Hun Yazdan ki Qasam
Log Deewana Samajh Kar Mujhe Samjhate Hain
Faraib
Chashm ko Aitbar ki Zehmat
Dil ko Sabro Shakaib Deta hai
Aiene mein na Aks e Hasti Dekh
Aiena bhi Faraib Deta Hai
Taskeen
Sone Chandi ki Chamakti Hui Meezano Mein
Mere Jazbaat ki Taskeen Nahi Hosakti
Zindagi Roz e Azal se Hai Chhalakta hua Zehr
Zindagi Laiq e Tehseen Nahi Hosakti
Ansoo
Ae Sitaron ke Chahne Walo
Answoon ke Chiragh Hazir Hain
Ronaq e Jashne Rango boo ke lye
Zakhm Hazir Hain Dagh Hazir Hain