Usne Sukute Shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya
- Usne Sukue-e-Shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya
- Hijr Ki Raat Baam Par Mah-E-Tamam Rakh Diya
- Aamad-E-Dost Ki Nawed Ku-E-Wafa Mein Aam Thi
- Main Ne Bhi Ek Charagh Sa Dil Sar-E-Sham Rakh Diya
- Shiddat-E-Tishnagi Mein Bhi Ghairat-E-Mai-Kashi Rahi
- Us Ne Jo Pher Li Nazar Main Ne Bhi Jam Rakh Diya
- Us Ne Nazar Nazar Mein Hi Aise Bhale Sukhan Kahe
- Main Ne To Us Ke Panw Mein Sara Kalam Rakh Diya
- Dekho Ye Mere Khwab The Dekho Ye Mere Zakhm Hain
- Main Ne To Sab Hisab-E-Jaan Bar-Sar-E-Am Rakh Diya
- Ab Ke Bahaar Ne Bhi Kin Aisi Shararten Ki Bas
- Kabk-E-Dari Ki Chaal Mein Tera Khiram Rakh Diya
- Jo Bhi Mila Usi Ka Dil Halqa-Ba-Gosh-E-Yar Tha
- Us Ne To Sare Shahr Ko Kar Ke Ghulam Rakh Diya
- Aur ‘Faraaz’ Chahiyen Kitni Mohabbaten Tujhe
- Maon Ne Tere Nam Par Bachchon Ka Nam Rakh Diya